Texting

Romantic baat kaise kare: GF aur biwi se, chat aur call pe

Good morning jaan aur khana khaya se aage: WhatsApp aur call ke liye real lines, apne partner ke liye.

Jaskaran Singh
Jaskaran Singh · Dating & relationship coach
25 Sep 2026 · Updated 16 Nov 2026 · 12 min read

"Good morning jaan." "Khana khaya?" "Good night baby."
Agar tum dono ki romantic baatein bas yahi reh gayi hain, to ye post tumhare liye hai.

Romantic baat kaise kare, ye sawaal mujhse woh ladke bhi puchte hain jinki girlfriend hai, aur woh bhi jinki shaadi ko paanch saal ho gaye. Pyaar hai, bas baat mein woh pehle wali garmi nahi rahi. Kisi ne kabhi sikhaya hi nahi ki apne partner se pyaar bhari baat kaise ki jaati hai. Filmon ne shayari sikhayi, Instagram ne copy paste wale "cute messages", aur dono real life mein thode cringe lagte hain.

Dekho, romance words se banta hai, lekin fancy words se nahi. Chalo dekhte hain kaise.

Romantic baat kaise kare? Pehle seedha jawab sun lo

Romantic baat ka matlab shayari ya har line mein "baby" bolna nahi hai. Romantic baat woh hai jo sirf usi ke liye ho: uski specific tareef, tum dono ki yaadein, aage ke chhote plans, halka sa tease, aur sachi feelings seedhe shabdon mein. Aur sabse pehle, baat tab karo jab tum khud achhe mood mein ho.

Neeche har cheez examples ke saath hai: WhatsApp ke liye, call ke liye, aur biwi ke liye alag se.

Tareef aisi kaise karo ki faltu na lage, is pe meri poori video.

Romantic baat kya hoti hai?

Ek simple test hai. Jo message tum bhejne wale ho, kya woh duniya ki kisi bhi ladki ko bheja ja sakta hai? Agar haan, to woh romantic nahi hai, bas sweet hai.

"You are so beautiful" koi bhi bol sakta hai. "Jab tum kisi cheez ke baare mein excited hoti ho na, tumhari awaaz fast ho jaati hai aur haath hilne lagte hain. Mujhe woh bahut cute lagta hai." Ye sirf woh bol sakta hai jo sach mein usko dekhta hai.

Iska simple matlab hai ki romance ka asli ingredient dhyaan hai. Usko feel hona chahiye ki tum usko notice karte ho, sunte ho, aur yaad rakhte ho. Aur ye roz ki chhoti baaton mein hota hai. Agar tumhe words ke saath actions bhi chahiye, chhote gestures aur cheezein jo tum uske liye kar sakte ho, to woh maine English mein alag likha hai: how to be romantic. Ye post sirf baaton ke baare mein hai.

Romantic baat shuru karne se pehle: tum kis mood mein ho?

Ye wali cheez main apne students ko sikhata hoon, aur mere hisaab se ye kisi bhi line se zyada kaam ki hai. Tum apni girlfriend ya wife ko call ya message sirf chaar wajah se karte ho. Bhejne se pehle dekh lo ki tum kis box mein ho.

Box 1

Tum sach mein usse baat karna chahte ho

Koi darr nahi, koi shikayat nahi. Bas uski yaad aayi aur usko sunna hai. Main isko golden phone call kehta hoon. Is mood mein woh thodi chidh bhi jaaye, to tum pyaar se sambhal lete ho, ulta react nahi karte. Romantic baat isi box se nikalti hai, aur ye honeymoon wali feeling tum saalon tak saath le ja sakte ho.

Box 2

Tum kisi aur wajah se khush ho

Promotion mil gaya, exam clear ho gaya. Achhi baat hai, lekin agar pichhle do teen din tum busy the aur usse theek se baat nahi hui, to woh tumhari khushi mein turant khush nahi hogi. Pehle usko apni khushi mein shaamil karo, phir news do: "Ek baat hui aaj, aur sabse pehle tumhara hi khayal aaya. Pata hai do din se theek se baat nahi hui, main bahut miss kar raha tha tumhe." Jab woh pighal jaaye, tab poori kahani sunao.

Box 3

Tumhe usse door hone ka darr hai

Woh thodi distant lag rahi hai, reply late aa rahe hain, aur tum ghabra ke "kya hua? sab theek hai? milte hain na" bhejne lagte ho. Ye call pyaar se nahi, darr se hoti hai, aur aisi baat hamesha bigadti hai, chahe uska mood kitna bhi achha ho. Is box mein ho to us waqt baat mat karo. Khud ko busy karo, thanda ho jao, aur Box 1 mein aa ke baat karo.

Box 4

Tum kisi aur cheez se pareshaan ho

Boss ne daanta, din kharab gaya. Is mood mein call karoge to saara gussa usi pe nikal jaayega, aur dheere dheere usko tumhari awaaz se hi negativity yaad aane lagegi. Baat karni hai to usko mazaak bana ke sunao. Sirf bhadaas nikalni hai, to kisi dost ko call karo.

Hamesha yaad rakhna, romantic line tab kaam karti hai jab tumhara mood romantic ho. Box 3 se bheja hua "I love you" bhi needy lagta hai.

GF se romantic baat kaise kare: lines jo sirf usi ke liye hon

Ab baat karte hain kya bolna hai. Ye pehle se banayi hui lines nahi hain jo copy karni hain. Ye tarike hain, aur lines bas example hain.

Uski aadat ki tareef karo, shakal ki nahi

Uski khoobsurti ki tareef sab karte hain. Tum uski soch ki, uske andaaz ki, us chhoti cheez ki tareef karo jo sirf tumne notice ki.

Koi aisi yaad nikalo jo sirf tum dono ki hai

"Aaj baarish dekh ke woh din yaad aa gaya jab hum dono bheeg gaye the aur tum auto wale se ladd rahi thi." Aisi yaad kisi aur ladki ko bheji hi nahi ja sakti, isliye woh romantic hai.

Aage ka koi chhota plan banao

Shaadi aur bachchon ki lambi planning nahi. Chhote, mazedaar plans jo dikhayein ki tum usko apni life mein aage bhi dekhte ho: "Jab hum Goa jayenge na, scooty main chalaunga. Ye pehle se decide hai."

Thoda tease karo

Romance hamesha serious nahi hota. Halka sa tease, jisme dono hansein, attraction ko zinda rakhta hai. Bas mazaak aisa ho ki woh muskuraye, bura na maane.

Na "baby", na shayari. Phir bhi pura romantic.

Feelings seedhe shabdon mein bolo, bina wajah ke

"Aaj din bhar tumhare baare mein soch raha tha. Koi reason nahi, bas." Ya "Tumhare saath hota hoon to sab thoda halka lagta hai."

Main personally maanta hoon ki ye wali lines sabse zyada kaam karti hain, kyunki zyada tar ladke inhe bolne se darte hain. Unko lagta hai zyada emotional dikhenge. Asal mein ek seedhi sachi line har copy paste shayari se zyada gehri lagti hai.

WhatsApp chat par romantic baat kaise kare

Chat pe romance ka sabse bada dushman routine hai. Har din wahi good morning, wahi khana khaya, wahi good night. Kuch hafton baad woh message pyaar kam aur attendance zyada lagne lagta hai.

Isliye din mein bas ek message aisa bhejo jo routine se alag ho. Koi yaad, koi tease, ya din ki koi chhoti baat jo tumne khaas uske liye bacha ke rakhi: "Aaj metro mein ek aunty ne poore dibbe ko apni beti ki shaadi ki kahani suna di. Tumhari yaad aa gayi, tum hoti to beech mein sawaal puch rahi hoti."

Voice note bhejo. Text mein tumhari awaaz, tumhari hansi, woh chhota sa pause, kuch nahi pahunchta. Ek 20 second ka voice note das messages se zyada close feel hota hai.

Uska mood dekh ke likho. Woh thaki hui hai to lamba romantic paragraph mat bhejo, bas ek chhoti si care wali line kaafi hai. Aur jab chat sabse mazedaar mod pe ho, tab tum hi pyaar se end kar do: "Chalo, tumhe sone deta hoon. Baaki kal, aur movie wala case abhi band nahi hua." Baat high pe khatam hogi, to agli baat ka intezaar usko bhi rahega.

In my words

More effort does not equal more attraction. And it definitely does not mean more messages and blowing up her phone.

Aur agar woh bas "hmm" ya "ok" bhej rahi hai, to romantic lines ki baarish se kuch nahi hoga. Pehle samjho us "hmm" ke peeche kya hai: hmm ka reply kya de.

Call pe romantic baat kaise kare

Chat pe tum soch soch ke type karte ho. Call pe sab sunai deta hai, isliye call pe romance zyada asli lagta hai. Aur yahan wahi mood wali baat sabse zyada kaam aati hai: call karne se pehle ek minute ruko, uski koi photo dekho, usko pyaar se yaad karo, phir number milao.

Call ki shuruaat usse karo, apne din ke hisaab kitaab se nahi. "Pata hai abhi call kyun kiya? Bas tumhari awaaz sunni thi." Awaaz thodi dheemi rakho, jaldi jaldi mat bolo, aur chup rehne se mat daro. Romantic call pe khamoshi bhi achhi lagti hai.

Phir koi aisa sawaal pucho jo roz nahi puchte:

Aur jab woh bole, to beech mein advice dena mat shuru karo. Bas suno. Agar aise aur sawaal chahiye, maine questions to ask your girlfriend alag se likhe hain, English mein.

Free 1-on-1 strategy call

Relationship mein spark kam ho gaya hai?

Agar tum dono ki baatein bas "good morning" aur "khana khaya" tak simat gayi hain, ya wahi ladai baar baar wapas aa jaati hai, to meri team se baat karo. Free call hai: tum batao ki tum dono ke beech sach mein kya chal raha hai, aur hum dikhayenge ki asli wajah kya hai aur aage kya karna hai.

Chat pe baat mazedaar banana seekhna hai? The Art of Chatting, mera ₹89 workshop.

Biwi se romantic baat kaise kare

Shaadi ke kuch saal baad baatein aksar logistics ban jaati hain. "Doodh le aana." "Mummy ka phone aaya tha." "EMI kab jayegi?" Pyaar khatam nahi hota, bas bolna band ho jaata hai.

Main hamesha kehta hoon, dating shaadi ke baad bhi band nahi hoti. Jo shaadi-shuda aadmi mere paas coaching ke liye aate hain, unme se zyada tar ne bas apni biwi ko date karna chhod diya hota hai. Usko wapas waise hi dekho jaise pehli mulakat pe dekhte the, aur baatein apne aap badal jaayengi.

Usko woh din yaad dilao jab tum dono pehli baar mile the, ya pehli ladai ke baad tumne usko kaise manaya tha: "Yaad hai woh raat, jab tum naraz thi aur main gate ke bahar ice cream le ke khada tha?" Aur din mein kabhi ek message bina kisi kaam ke: "Kuch nahi, bas tumhari yaad aayi."

Ek aur cheez. Har insaan pyaar alag tarah se feel karta hai. Kisi ko words chahiye, kisi ko tumhara time, kisi ko ye ki tum bina bole kaam mein haath bata do. Agar tum sirf lines bhej rahe ho aur usko time chahiye, to tumhare words usko khaali lagenge. Usse seedha pucho: "Tumhe sabse zyada special kab lagta hai, jab main kuch bolta hoon ya jab main kuch karta hoon?" Iska jawab tumhe bata dega ki romance kahan se shuru karna hai. Aur agar tum sab kuch try kar chuke ho aur phir bhi woh khush nahi lagti, to woh poori baat yahan hai: how to make your wife happy.

Romantic mood kaise banaye

Mood lines se nahi banta, maahaul se banta hai. Tum usse baat kar rahe ho aur beech mein reels scroll kar rahe ho, to koi bhi line kaam nahi karegi.

Call pe ho to phone speaker pe daal ke doosra kaam mat karo. Saath ho to phone ulta rakh do. Usko dikhna chahiye ki is waqt tumhari duniya mein bas woh hai.

Phir baat ko roz ke hisaab kitaab se bahar le jao. Sabse badi problem ye hai ki ladke sunne se zyada solve karne lagte hain. Woh office ki koi baat bata rahi hai aur tum turant "tumhe usko ye bolna chahiye tha" pe aa jaate ho. Us waqt usko solution nahi, tum chahiye hote ho.

Aur thodi apni life bhi rakho. Gym, dost, apna koi shauk. Jab tum dono har waqt saath ho aur har cheez pata ho, to curiosity khatam ho jaati hai, aur curiosity ke bina attraction bhi dheema pad jaata hai. Thodi doori baat karne ki nayi wajah deti hai.

Ye galtiyan romantic baat ko cringe bana deti hain

  1. Google se utha ke shayari copy paste karna. Usko turant pata chal jaata hai.
  2. Har line mein "baby", "jaan", "meri life". Itna bologe to in words ka matlab hi khatam ho jaayega.
  3. Usko jealous karke ya ignore karke "tadpana". Ye romance nahi, game hai, aur isse bharosa toot jaata hai.
  4. Ladai ke baad bina sorry bole seedha romantic message bhej dena, jaise kuch hua hi nahi.
  5. Sirf chat pe romantic hona, aur call pe ya saamne chup ho jaana.

Jo cheez usko uncomfortable ya confused kare, woh romantic nahi hai, chahe kitni bhi filmy lage. Aur agar abhi ladai chal rahi hai, to romance baad mein. Pehle ye padho: how to say sorry to your girlfriend (English mein hai).

Romantic baat: common sawaal

Romantic baat kya hoti hai?

Woh baat jo sirf usi ke liye ho sakti hai: uski specific tareef, tum dono ki yaadein, aage ke chhote plans, halka tease, aur seedhi sachi feelings. Agar message duniya ki kisi bhi ladki ko bheja ja sakta hai, to woh romantic nahi, bas sweet hai.

GF se romantic baat kaise shuru kare?

Kisi yaad se ya specific tareef se shuru karo, jaise "Aaj baarish dekh ke woh din yaad aa gaya." Ya bina wajah seedha bol do: "Aaj din bhar tumhare baare mein soch raha tha." Aur shuru tab karo jab tum khud achhe mood mein ho, darr ya gusse mein nahi.

WhatsApp par romantic baat kaise kare?

Din mein ek message routine se alag bhejo, voice note try karo, uska mood dekh ke likho, aur chat ko sabse mazedaar mod pe khud pyaar se end karo. Message pe message mat bhejo, zyada messages ka matlab zyada romance nahi hota.

Call pe romantic baat kaise kare?

Call ki shuruaat usse karo, jaise "Bas tumhari awaaz sunni thi." Awaaz dheemi rakho, khamoshi se mat daro, aur koi aisa sawaal pucho jo roz nahi puchte. Woh bole to advice mat do, bas suno.

Biwi se romantic baat kaise kare?

Purane din yaad dilao, din mein kabhi ek bina kaam wala message bhejo, aur logistics ke alawa bhi baat karo. Usse pucho ki usko special kab lagta hai, words se ya tumhare kuch karne se, kyunki har insaan pyaar alag tarah se feel karta hai.

Romantic mood kaise banaye?

Phone side mein rakho, usko poora dhyaan do, aur baat ko roz ke hisaab kitaab se bahar le jao. Woh kuch bataye to solve mat karo, suno. Mood lines se nahi, maahaul aur dhyaan se banta hai.

Ladai ke baad romantic message bhejna sahi hai?

Seedha nahi. Pehle sorry bolo aur baat suljhao, romance uske baad. Bina sorry ke bheja hua romantic message usko aisa lagega jaise tum ladai ko ignore kar rahe ho.

Aaj raat ek message bhejo jo sirf usi ke liye ho.
Good night se pehle.

Free strategy call book karo

Ya chat ka game pakka karna hai: ₹89 workshop join karo

Jaskaran Singh, dating and relationship coach
Written by

Jaskaran Singh

Dating and relationship coach for men. I cleared CA, then walked away from that career, because I'd spent years being rejected and finally understood why. 8+ years and 50,000+ men later, I teach Indian men how to love and be loved.